What is Computer in Hindi? Computer ki full form kya hai ??

Share it with Your Friends

WHAT IS COMPUTER IN HINDI ??

What is Computer in Hindi? ke baare me is blog me aapko detail me aaj ham batane ja rahe hain. Computer hum sabhi ne kabhi na kabhi jarur use kiya hoga. Computer ne na jaane kitne hi logo ka kaam aasan kar diya hai. Aaj kal har business me computer ki bahut jayda importance hai. Iske bina hum apna kaam soch bhi nai sakte. Lekin kya aap jante hai ki aaj jo hum computer use karte hai uske piche na jaane kitne hi scientists ki saalo ki mehanat hai.

Aaj is article me hum ye jaanenge ki computer kya hai aur iske kuch aise basics jo hum sab ke liye jaanne bahut important hai.

Chaliye shuru karte hai….

Computer kya hai….What is computer in hindi ??

Modern computer ka father Charles Babbage ko maana jata hai kyuki unhone ki sabse pehle mechanical computer ka aavishkar kiya tha.

Computer ek aisa electronic device hai jo ki user dwara input kiye gaye data ko process kar ke results nikaal kar deta hai jise ki hum apne kaam ka output kehte hai. Yaani ki computer ke 3 important kaam hai:

1. Raw data ko input karna aur usse samajhna

2. Humare dwara input kiye hue data ko process karna, jisme numerical ya fir non numerical caluculations computer ke through ki jaati hai
3. Proceed data ko dikhana yaani ki output nikaal ke dena

Computer ki full form kya hai ??

Computer ka full form to sabko schools me naa jaane kitni baar padaya gaya hoga.

C – Commmonly

O – Operating
M – Machine

P – Particularly
U – Used For

T – Technical
E – Educational
R – Research

Computer apna kaam kaise karta hai ??

Computer ke aisi electronic machine hai jo user yaani ki kisi bhi individula ke input kiye gaye data ko apne prograame ke according process karta hai aur output ki form me hume results provide karta hai. Kyuki computer humari language ko apni language me samjhta hai aur results nikaal kar deta hai.

Input – Process – Output

Aaiye computer basics in hindi ko hum aaj is article me samjhte hai …

Input : Input pehla aisa step hai jisme raw information ko input device use karke computer me daala jaat hai. Ye koi picture, letter, words ya video kisi bhi format me ho sakta hai.

Process : Process step me input kiye hue data ko instructions ke according data ki processing ki jaati hai aur ye processing puri tarha se internal hoti hai jise ki aam insaan nai samajh paata.

Output : Output step me jo data pehle process ho chuka hai use results ki form me show kiya jaata hai aur agar hum chahe to apne result ko save karke bhi rakh sakte hai taaki future me kabhi bhi jarurt padne par hum is data ko use kar sake.

Computer ka use hum bahut saari fields me karte hai to is article ke through humne apno hindi meaning of computer ke baare me jaankari di. Aaj computer ek bahut important electronic device hai jiska use hum kaafi fields me karte hai jaise ki Health and Medicine field me, Business ke liye, Schools me itna hi nai Government aur Defense me bhi computer ko use kiya jaata hai.

Ab tak apko computer kya hai aur computter ke basics kya hai hindi me maalum ho chuka hoga. Aasha karta hu ki apko mera article pasand aaya hoga aur isse apki knowledge jarur badi hogi.

Milte hai agle article me. Tab tak ke liye. Stay home, Stay Safe.

Ye bhi Padhiye:

ATM ka Full Form Kya Hai?

What is USB in Hindi?

Kisi bhi Number ki Call Details Kaise Nikale?


Share it with Your Friends

Satish Sharma

Author: Myself Satish Sharma, owner of technoupaaye.com blog. My Main objective is to provide you useful information through my blogs. For More Details Please visit "Authors Detail" Page.