What is TRP Full Form ? TV TRP क्या है? What TRP means

Share it with Your Friends

TV TRP क्याहै? What TRP means, What is TRP Full Form

Namaskar doston, ek baar fir se swagat hai aapka mere or naye blog me aaj ka hamara topic hai What is TRP full form ? TV TRP kya hai? Or TRP full form kya hai? Iss blog me aaj aapko ye sab baton ka jawab mai dene ja raha hun. Aaj ke time shayad hi koi aisa hoga jo ke TV dekhta ho or usne TRP word na suna ho.

Wo daur pehle tha jab TV par sirf ginti ke hi channels hote the jab hame chuninda channels me se hi apne pasand ke programs dekhne padte the par aaj ki date me TV bahut badal gaya hai, ab 300 se 400 TV channels available hain or har koi insaan inn channels me se apne man pasand channels ko dekhte hain. Koi Big boss, kuch log Nagin, Kuch log fear factors to kuch log kapil Sharma show dekhna pasand karte hain.

Apne darshakon ke beech me wo channel kitna popular hai or kitna nahi ye sab baton ka pata karne ke liye TRP Calculator use kiya jata hai. TRP calculator se badi asaani se koi bhi pata kar sakta hai ke kaunsa channel kitna popular hai or kaunsa TV program Channel ki TRP ko badhane me sabse jada yogdaan de raha hai.

Ham aksar TV me TRP word baar baar sunte hain par bahut saare log ye nahi jante ke aakhirkar TRP kya hota hai? Or kis liye use hota hai.

TRP क्या है? What is TRP Full Form?

TRP full form is Television Rating Point. Ye ek aisa tool hai jiske madhyam se ye pata kiya ja sakta hai ke kaunsa TV serial ya TV channel sabse jada dekha ya pasand kiya ja raha hai. Isse TV channel ya Serial ki popularity ka pata chalta hai. TRP ye bhi batata hai ke kaunsa TV serial din me kitni baar or kitne samay ke liye dekha ja raha hai. Umeed hai ke yahan tak aapko samaj aa gaya hoga.

TRP कैसे चेक करते है?

Jaise ke aap sabko takreeban pata hi hoga ke internet par koi bhi youtube channel me ek video par kitne views aaye hain, kahan kahan dekha gaya hai or kitne samay ke liye dekha gaya hai or ye sab jaankari youtube me Analytics ke dwara di jaati hai ussi tarah se TV me kaunsa TV serial ya TV channel kitna popular hai ye pata karne ke liye People’s meter ka istemaal kiya jata hai jo ke TV par kaunsa program kitne time ke liye dekha ja raha hai or usme Advt kitni baar dekha ja raha hai, iss sab information ki ek ek minute ki report Monitoring Team tak pahucha deta hai.

Also Read:

Refurbished Phone Kya hota hai?

ATM ka full Form Kya hai?

HDD & SSD me kya difference hai?


Share it with Your Friends

Satish Sharma

Author: Myself Satish Sharma, owner of technoupaaye.com blog. My Main objective is to provide you useful information through my blogs. For More Details Please visit "Authors Detail" Page.