Refurbished Phone Meaning in Hindi? Refurbished Hindi Meaning
Refurbished Phone Meaning in Hindi? Refurbished Hindi Meaning
Hello doston, ek baar fir se swagat hai aapka mere is blog me. Aaj ka hamara topic hai doston What is Refurbished phone hindi me bole to Refurbished phone kya hota hai or Refubished Phone meaning in hindi kya hai.
Yakinan Refurbished word sabhi ne nahi suna hota kyuki ye generally use nahi hota hai par jo log ye word sunte hain unko ye janne ki iccha hoti hai ke ye refurbished phone kya hai? Yadi aapke dil me bhi aise hi prashan chal rahe hain to aap doston bilkul sahi jagah aaye ho.
Aaj aapko mai iss blog ke jariye simple or seedhi bhasha me bataunga Refurbished phone kisse kehte hain or kya hame refurbished mobile online purchase karne chahiye.
Doston aapne kai baar bahut saari online shopping websites par dekha hoga ke Refurbished phones ya fir unboxed phones aapko bahut hi saste prices par mil rahe hote hain..Jisse dekh kar dil me sabhi ke khayal aata hai ke branded mobiles itne kam rate par mil rahe hain, par iss kharidne me kal ko koi nuksaan to nahi hai.
Iss baat ka jawab ham is blog me aage padhne wale hain filhaal ke liye sabse pehle ye jaan lete hain ke aakhir kar ye Refubished phone ya Unboxed phone aakhir hote kya hai?
What are Refurbished Phones ? Refurbished Meaning in Hindi:
Doston refurbished phones hote to new jaise hi hain bas fark itna hi hota hai ke inki new packings ek baar kisi bhi karan se khul chuki hoti hai ya fir phone me halfa fulka defect nikalne par company unko original customer ko replacement me dusra phone de deti hai or wapis aaye problematic phones ki problems ko thik kar ke wapise pack kar isse Refurbished ki category me daal kar sale kar deta hai wo bhi actual market price se kuch price kam kar ke.
Refurbished phones ki online sites me sabse jada trusted websites hoti hai Amazon, Flipkart and Snapdeal. In short me ye kehna chahta hun ke agar aapne Refurbished phone lene ka plan karte hain to sirf inhi online sites se karide kyuki ye highly trusted websites hain Refubished phones ke liye.
Refurbished Phone Meaning in Hindi:
Refurbished ka matlab hota hai ke ek baar packed phone ko dobara se uski kami peshiyan poori tarah se thik kar ke usse bechne ke liye wapis se pack kar dena or uski warrenty set kar dena.
Refurbished phones ya Unboxed phones ko or jada explain karne ke liye mai udhahran ke jariye aapko samjhata hun.
Jaise ke aapne dekha hi hoga ke Amazon, Flipkart and Snapdeal jaise shopping websites par koi bhi samaan agar aap lete hain to aapko website ki taraf se 10 din ki return policy hoti hai.
Maan lijiye aapne Rs. 15000 ka koi mobile online kharida, mobile ko ek hafte tak acche se use kiya fir aapne dekha ke achanak usme audio jack thik se kaam nahi kar raha. Aap faisla karte hain ke aap ye mobile 10 days return policy ke tehak wapis kar dete hain or replacement me koi or mobile le lete hain.
Ab company aapke wapis diye gaye phone ka kya karegi. Khud ko loss se bachane ke liye company wapis aaye mobile ki audio jack wali problem ko 100% thik kar ke dobara se bechne ke liye pack kar deti hain or ab iss ek hafte purane phone ko Rs. 15000 ki jagah Rs. 10000 me Refurbished ki category me daal kar sale par laga deti hai plus iss phone par 6 months ki warranty bhi de deti hai.
Aise Bikta hai Refurbished phones.
Aapko online webistes par har ek badi se badi company ke mobiles sale me dekhne ko mil jayenge or aap inn mobiles ko low price me kharid kar use kar sakte hain or kam warranty ko enjoy kar sakte hain. Lakin Refurbished mobiles ko kharidne se pehle kuch inn baton ka khayal rakhna jaruri hai.
Refurbished Mobiles purchase karne se pehle kin baton ka khayal rakhna chahiye?
Refurbished Mobiles hamesha ek trusted online shopping websites se hi kharidna chahiye jaise maine upar suggest kiya hai ke Amazon, Flipkart and Snapdeal.
Agar Refurbished phones me aapko jada price difference dikhe tabhi purchase karna or agar price me jada difference na ho to new mobile lekar hi faida hai kyuki Naya to naya hi hota hai na.
Refurbished mobiles ko lene se pehle ye jarur dekh lain ke warranty kam se kam 6 months ki jarur ho kyuki usse kam warranty wala mobile lene me koi faida nahi hai.
Mobile Kharidne se pehle ek baar market me jaakar actual price ka jarur pata kar lain, ho sakta hai ke aap koi galat deal final karne se bach jayain.
To doston umeed hai ke mera ye blog aapko pasand aaya hoga or iss blog me aapko di gaye sabhi jaankari aapko labhdayak lagi hogi. Iss blog ko anth tak padhne ke liye bahut bahut shukriya. Fir milenge ek naye blog me ek or naye topic ke saath.
Also Read:
Kisi Bhi Number ki Call Details Kaise Nikale?
HDD vs SSD me kya Difference Hai?
ATM ka Full Form Kya Hota Hai?