HDD vs SSD me kya antar hai or aapke liye kya best hai
HDD vs SSD में क्या अंतर है or आपके लिए क्या best है?
Namaskar doston, ek baar fir se swagat hai aapka mere is new blog me, aaj ka hamara topic hai ke HDD vs SSD me kya antar hai or aapke liye kya best hai? Jaise ke ham sab log aaj ke waqt puri tarah se computers par nirbhar hain, or computer me istemal hone wale parts me sabse jada jaruri parts me se ek hota hai Hard disk ya fir hard drive. Ab ye hard disk or hard drive kya hota hai or kitne tarah ke hote hain or unme kya untar hai inn sabhi sawlon ka jawab aaj aapko mai iss blog me dene ja raha hun.
Jab bhi koi naya computer leta hai to uske saamne sabse bada prashan ye aata hai ke wo apne computer me storage ke liye kaunsi storage device use kare. Solid State Drive (SSD) ya fir Hard disk (HDD). Puri tarah se jaankari na hone ke kaar kai baar ham galat failsa le lete hain ya fir dukandar ke prastaav ke hisab se storage device final kar dete hain, jiska nuksaan kai baar baad me bhugatna padta hai.
Storage device choose karne ka koi seedha sa formula nahi hota or na hi ye jaan sakte hain ke inme se kaunsa storage device sabse badhiya hai. Jab bhi computer lena hota hai to storage device ko ham apni jarurat or budget ke hisab se choose karte hain. Iske bare me or jaankari dete huye ab mai aapko HDD and SDD ke bare me or batane ja raha hun, jisse ke aap apne liye badi hi assani se hard disk select kar sakte ho or dusron ko bhi storage drive ke bare me best solution de sakte hain.
HDD kya hai (Hard Disk Drive in Hindi)
HDD ka full form hota hai Hard Disk Drive or isse sabse pehle IBM ke dwara 1956 me introduce kiya gaya tha. HDD me data ko store karne ke liye magnetism ka istemal hota hai. Hard disk ke under data ko read and write karne ke liye ek Read/Write head spinning platter ke upar rotate karta hai. Jitni teji se rotating platter ghumegi utni jaldi hi HDD perform kar sakta hai. Aaj ke latest laptop drive 5400 RPM ( Revolutions per minute) ya 7200 RPM ke hisab se ghumta hai wahin kuch to 15000 RPM tak spin karte hain. Yadi hard disk drive slowly rotate kargi data ko read or write karne ke liye to computer ki processing bahut slow ho jaati hai jisse kaam karne me bahut dikkat ka saamna karna padta hai.
HDD ko istemal karne ka sabse bada faida ye hai ke ye price me sasta hota hai or iski storage capacity bahut jada hoti hai means ke aap isme kam keemat me dher saara data store kar sakte hain. Aaj kal to normally 1TB tak ki hard disk aap istemaal kar sakte hain. Kyuki HDD SDD se price me sasta hota hai isliye jin logo ko jada data store karna hota hai wo Hard disk drive ko pasand karte hain or istemal karte hain.
HDD kai tarah ke sizes me aata hai jaise laptop me chote akaar ka HDD fit hota hai or computer me bade akaar ka. Ye weight me bhi heavy hota hai or bahut hi jada sensitive hota hai matlab ye hai k isko bada hi dhyan se uthana or rakhna hota hai kyuki halka sa tej jhakta HDD me dikkat paida kar sakta hai jo ke repair bhi nahi kiya ja sakta ya fir repair karna kaafi mehanga padta hai. HDD me SATA istemaal hota hai.
SSD Kya hai (Solid State Drive in Hindi)
SSD ki agar mai baat karun to sirf itna hi kahunga ke jab pehli baar maine SSD ko dekha tha to bada hi hairan hua tha ke halki or patli si plastic ki drive jiske bare me kaha jata hai ke agar kisi ko Hard disk ki performance chahiye to wahan ye SDD drive uske karni chahiye. SSD ki full form hoti hai Solid State Drive. Agar aap SSD drive apne computer ya laptop me use karte hain to aapko bahut hi jada fast computer ki performance dekhne ko milti hai. Isme bilkul bhi weight nai hota or dekhne me aisa lagta hai jaise HDD ke comparison me SSD jada istemal karna asaan hai. SSD me data ko micro chip me store kar k rakha jata hai. Simple bhasha me kahain to HDD ke tulna me SSD me data bahut hi organize tarike se store hota hai jisse ke SSD data bahut jaldi read or write kar leta hai or user ko accha computer performace dekhne ko milta hai.
SSD me NAND based flash memory hoti hai jisse ke non volatile bhi bola jata hai. Non volatile ka matlab hai ke iss hard drive me ek baar jo bhi data store ho jaata hai wo waise hi isme store rehti hai means ke isme memory loss nahi hota or ye ek hard drive ka bahut hi jaruri required feature hai. HDD ki tulna me pehle SSD ko log jaldi se accept nahi karte the par ab SSD ko bahut hi joron shoron se istemaal kiya jata hai or price me ye HDD se 3 se 4 guna jada hota hai. Saaf shabdon me kahen to performance or price ke chalet SSD HDD se jada better or logivity rakhta hai.
Jaise ke upar batya tha maine ke HDD weight me kaafi heavy hota hai or ye ek solid si packing me aata hai wahin SSD ek plastic type material me aata hai or ye weight me kaafi halka hota hai or dikhne me ye ek battery ke jaise hi hota hai.
HDD vs SSD me kya antar hai ( HDD vs SSD which is better)
Doston aapko dono ki tulna ko mai bahut hi saral shabdon me batata hun taaki aap in dono ke beech ka antar jaldi or asaani se samaj sake:
**SSD kam power istemaal karta hai HDD ki power consumption ke chalte.
**SSD jada mehangi aati hai balki HDD ki price bahut hi kam hai
**SSD store device filhaal bahut hi kam storage capacity ke saath market me uplabdh hain, main wajah hai iska jada price, kyuki agar storage badhegi to fir price bhi badhega or jada price me isse koi lega nahi. Wahin dusri jagah HDD ki storage capacity bahut hi jada hoti hai. Aajkal to 1TB tak ka storage capacity HDD me bade hi araam se istemal kiya ja raha hai.
**iska average boot time means ke computer ko desktop tak le jaane ki shamta 10-13 seconds tak ki hoti hai wahin dusri aur HDD ki boot time 30-40 seconds tak hota hai.
**Chalte waqt SSD kisi bhi prakaar ki noise nahi deta wahi HDD chalte waqt SSD ke comparison me kaafi awaaz karta hai.
**SSD performance me kaafi tej hota hai wahin HDD performance wise kaafi jada slow hota hai.
Umeed hai ke HDD vs SSD me antar aapko badi assani se samaj aa gaya hoga or iss data ko padhne ke baad aap andaja laga sakte hain ke kaunsi storage drive kiske liye kaise best hai.
Ab mai unn logo ke liye iss swal ka jawab bahut asaan kar deta hun jo ye puchte hain k unko SSD use karna chahiye ya fir HDD storage drive. Iska jawab bahut hi seedha hai ke agar aapko computer ki fast performance chahiye or aapko budge ka koi dikkat nahi hain plus aapko jada storage capacity ki jarurat hai to fir aapke liye SSD sabse best hai.
Umeed hai ke mera ye blog aapko pasand aaya hoga. Doston issi tarah ke information wale blog mai aapke liye aage bhi laata rahunga. Blog ko end tak padhne ke liye aapka bahut bahut dhanyawad. HDD vs SSD in Hindi ke iss blog ke baad ham fir se milenge aapko ek naye blog me ek or naye or informational topic k saath.
Also Read: